Thursday, May 1, 2014

Bigat 29 April ko Daltonganj Station k sameep hue Mukhiya ki hatya ko lekar Zila Mukhiya Sangh k karyalay me baithak ki gayi ....

Bigat 29 April ko Daltonganj Station k sameep hue Mukhiya ki hatya ko lekar Zila Mukhiya Sangh k karyalay me zile k lagbhag tamaam mukhiya ne baithak ki ....
Baithak ki adyakshta kar rahe "Anuj Tripathy" ne zila prasasan k khilaaf kaafi aakrosh wayaqt karte hue Haidernagar Purvi Panchayat k Mukhiya "Dilip Kumar" ki hatya me sanlipt apradhiyon ki avilamb giraftaari ki maang ki , sath hi sath kaha ki palamau SP "Y.S Ramesh" 48 ghante me hatyaaron ki giraftaari ki baat kahe the bawjood prasasan sust padi hai wa janpratinidhi apne aap ko asurakshit mahsoos kar rahe hain, aage Mukhiya sangh dwara mritak k aashriton ko 20 lakh rupaye muaawja ki maang k sath-sath sarkaari naukri dene ki bhi maang ki gayi wa pidit mukhiya pariwaar k sath sabhi jan pratinidhiyon ko suraksha waywastha muhaiya karane wa sabhi panchayti raaj k janpratinidhiyon ko 20 lakh ka Bima karane ki bhi maang ki ..wa sath hi sath unki maang puri nahi karne par zile me chakka jaam karne ki chetawani bhi di hai ......


No comments:

Post a Comment