Wednesday, April 30, 2014

Zile k upayukt ”Kripa Nand Jha” ne apne karyalay me siksha wibagh k sath baithak ki

Zile k upayukt ”Kripa Nand Jha” ne apne karyalay me siksha wibagh k sath baithak ki …. Baithak k dauraan zile me chal rahe “Sarwa Siksha Abhiyaan” Para Sikshakon k kriya kalaap , school building wa “Mid day Meal” par charcha hui …. Baithak k dauraan Upayukt ne waise para teachers ko school me padhane par rok laga diya jo kisi bhi tarah k wiwadit ho…Sath hi sabhi B.O ko prakhand me hi rehne ka nirdesh diya wa DSE wa DEO ki jaanch karne ko bhi kaha, aage Upayukt ne Pipra me ardhnirmit School Bhavan ki jaan kar doshi padadhikaariyon par FIR karne ki batein kahi , sath hi sath 11 new bhavano ki bhi jaankaari li ….


No comments:

Post a Comment