Chainpur stith Hazrat Haashim Shah Wali Shahdaata
Rahmatullah k mazaar par lagne wala 2 diwasiye urs mela din Boodhwaar ko sampan
ho gaya ….. Har warsh lagne wale es mazaar par dono din ebadat karne wa dua maangne
waalon ki bheed lagi rahi jabki mazaar par chaadar chadhane walon ka taanta
laga raha …. Har taraf se log Band-Baaja wa Dhol Tarson k sath Mazaar sthal
pahuchkar log Mazaar par chadar chadhate nazar aaye …. Es dauraan Hazrat Hashim
Shah Wali Shahdata Rahmatullah ka Mazaar Rang Birangi Roshniyon se jagmaga utha
tha …. Jabki dono din Mazaar parisar me kawali ka aayojan kiya gaya jise sun-ne
wa dekhne waalon ki bhed raat bhar karyakaram sthal par dati rahi …..


No comments:
Post a Comment