Tuesday, April 22, 2014

Dastawej Lipik Naveen Sangh 1 maah se hadtaal pe jaane k wajah se sarkaari kaamo me badhayein utpann ho rahi hai ....

Pichle 1 maah se Dastawej Lipik Naveen Sangh k hadtaal par chale jaane se zila nibandhan karyalay ka kaam kaaj thap hai .... Zameen ka nibandhan puri tarah se thap ho gaya hai jisse logon ko kaafi kathinaiyon ka saamna karna pad raha hai .... Wahi hadtaal karmiyon ki baat maane toh nibandhan ka karya ab sarkar ne "Online" kar diya hai jiske kaaran logon ko kaafi kathinai ho rahi hai aur sabhi paise "Online Payment" karna padta hai .... galti se Net Fail ho gaya toh paisa fans jata hai wa use nikalne me 10-15 dino ka samay lag jata hai .....Hadtaal karmiyon ne sarkar se nibandhan sulk jo gateway par jama ho rahi hai use hatane ki maang ki hai .... sath hi sath kaha ki sarkar k es pahal se karmi berojgaar bhi ho jayenge ....





No comments:

Post a Comment