Garhwa Sahar k Sadar Thane me mahaj 1 kilometer ki doori par
Miskaar Muhalle me apradhiyon ne din-dahade Ramasai Ucchya Vidyalay k sikshak “Alok
Kr. diwedi” ko goliyon se bhun dala …. Ghatna ki khabar sahar me aag ki tarah
fail gayi wa dekhte dekhte aas-paas k gramino wa sikshakon ne NH-75 jaam kar
diya wa sarkaar k virudh jamkar naare lagaye … . SP “Sudhir Jha” ne waha
pahuchkar gramino wa sikshakon k gusse ko saant kiya wa kaha ki 24 ghante k
andar we apradhyon ko pakad kar saja denge …. Dusre tarak mritak k ghar walo ka
ro-ro kar bura haal tha …..


No comments:
Post a Comment