Monday, April 7, 2014

Medininagar-Aurangabaad raaste me hui tempo durghatna ... 5 log ghayal

Medininagar Aurangabaad mukhya path stith Singra pool k paas hue sadak durghatna me 2 mahila wa 1 bacchi samet kul 5 log buri tarah ghayal ho gaye ….. Ghatna dopehar 12 baje k aas paas ghati, ghayalon k anusaar paatan thana antargat Hisra Barwadih se darjano yaatri Tempo se Medininagar aa rahe the …. Esi kram me Singra k sameep piche se aa rahi tempo takkar maar di wa aniyantrit hokar tempo durghatnagrast ho gayi …..sthaniye logon ki madad se ghayalon ko sadar hospital laya gaya jahan unka ilaaz chal raha hai , ghatna k baad se tempo chaalak faraar hai ….




No comments:

Post a Comment