Tuesday, April 22, 2014

Prithvi diwas ka 44wa sthapna diwas manaya gaya ....

Prithvi diwas k 44wa sthapna diwas k mauke par Wishrampur k Baghmanwa Panchayat k Dhartiya Gaon me paryawaran dharm par goasthi ka aayojan kiya gaya .... Karyakaram ka udghatan paryawaran Vidr "Kaushal Kumar Jaisawal" ne wano par rakhi bandhkar wa Dhartiya Madhya Vidyalay k prangan me peepal ka paudha lagakar kiya .... Mauke par logon ko sambodhit karte hue Shri Jaisawal ne kaha ki jis tarah se paryawaran pradushit ho raha hai wa jal starr ghatta ja raha hai .... wo din door nahi jab teesra wiswayudh jal k liye hoga ... Esliye pura wiswa ko jal sankat se bachana hai toh logon ko paryawaran dharm ka paalan karna hoga ....Hariyaali k bagair khushaali ki kaamna nahi ki ja sakti hai ....


No comments:

Post a Comment