Friday, April 18, 2014

fasal katne me wiwaad ko lekar hui maar peet .....

Fasal Kaatne me hue wiwaad ko lekar do pakshon me jamkar maar peet hui ... jisme 5 log gambhir roop se ghayal ho gaye ..... Ghatna Lesliganj thanantargat Dabra ka hai .... Maar peet me ghayal hue "Arun Kumar Mahto" ne batlaya ki khet me fasal kaatne k dauraan dabra gaon k hi Jai Prakash Pandey , Rajendra Pandey sahit 5 anya log wa lagbhag 20 mahila aa dhamki wa apna khet batakar Shri Mahto sahit anya 4 logon par jamkar laathi dande barsaane lage wa kulhaadi se bhi war kiya gaya .... Aage Shri Mahto ne batlaya ki Dabra gaon k liye ye koi nayi ghatna nahi hai balki aaye din aksar dabe-kuchle logon ko saamantiyon k dwara sataya jata hai ...... 




No comments:

Post a Comment