Monday, April 28, 2014

Jan witran pranali k dukandaar "Lalit Kumar Dubey" par card dhariyon ko pareshan karne ka aarop..

Chainpur prakhand k Purwadih Panchayat k darjano Gramin Zila Aapurti Padadhikaari se milkar purwadiha k jan witran pranali k dukandaar "Lalit Kumar Dubey" par card dhariyon ko pareshan karne ka aarop lagaya hai , gramino ne Shri Dubey par yah bhi aarop lagaya ki wo kabhi bhi samay par card dhariyon ko na  toh kerosene tel dete hain , na hi Ration hi ... wa Card dhari jab Shri Dubey se apne haq ki baat karte hain toh Shri Dubey gaali-galoj par utaaru ho jate hain .... Gramino ne aage kaha ki dukaandaar Shri Dubey apni wiklangta ka sahara lekar Card dhariyon ko kaafi pareshan karte hain .... Aage logon ne Shri Dubey k jagah dusre dealer k paas card sthanantaran karne ki maang ki hai .....

No comments:

Post a Comment