Latehaar ZIle k Chandwa Thana chetra k Kita gaon me naxali
sangathan TPC wa Jharkhand Sangharsh Janmukti Morcha me hui bhisan muthbed me
aatank ka prayaay naxali sangathan S.J.M.M ka supremo “Kuleswar” maara gaya …
Din mangalwaar ki dopehar me naxali sangathan TPC ka dasta SJMM k supremo par
eka-ek dhaba bol diya wa ghar ko gher kar andhadhund firing karna suru kar diya
… virodh me SJMM supremo ne bhi goli chalayi parantu kuch der baad usne
surrender kar diya … Surrender karne k baad TPC daste ne Kuleswar ko goli se
chalni kar diya …. Haal hi me kuleswar ne eent-bhatte ka maalik “Naresh Shaw”
ki hatya kar saw ko goods train me daal diya thaw a chunao k dauraan sapa
karyakartaon ki pitai kar chetrame aatank macha diya tha ….


No comments:
Post a Comment