Chainpur Prakhand antargat karso purani tola niwasi “Shiv
Singh” ka 15 warsiye putra “Lav Kr. Singh” ka saw rohanwa daamar jungle me mila
… Police ne saw ko kabje me lekar antahparikshan k liye Daltonganj Sadar
Hospital bhej diya …. Mritak “Lav Kr. Singh” ka chehra pathar se kuchla hua tha….
Mritak Shri Singh k pita ki baat mane toh mritak din Boodhwaar (wednesday) ki
subah se hi laapata tha , wo pratidin Mahuwa chun-ne nikalta tha …. Jab der sham
tak ghar waapas nahi lauta toh gharwaalon ne khojbeen shuru kar di bawjood Lav
Singh ka kahin ata-pata nahi chal paya …. Jab agle din subah gaonwalon ko lekar
Lav ko khoja gaya toh Lav ka laash Rohanwa Daamar Jungle me pada tha …. Mritak
k pita ne aage kaha ki bigat dino mahuwa chun-ne ko lekarAbwa Niwasi Shahbaan
Miyan wa Shamsu Miyan k putra k sath Lav ka jhagda hua tha …


No comments:
Post a Comment