Monday, April 7, 2014

Waywasayi logon ne BJP pratayashi "V.D Ram" ka jansampark abhiyaan ka kiya netritwa ...

DGP k pad par karya karne k baad sadak par utre BJP pratayashi “V.D Ram” ne apne jansampark abhiyaan k tahat Daltonganj k bazaar k sadko par utar kar logon se Narendra Modi k naam par vote manga …. Apne lagbhag 100 karyakartaon k sath sadak par utre …. V.D Ram k aage-aage karyakarta Narendra Modi Zindabaad , BJP Zindabaad k naare laga rahe the …. Bazaar chetra me log jagah jagah ekatthe hokar V.D Ram ko phool maala pahna rahe the …. Dhol nagadon k sath nikala gaya yah jansampark abhiyaan thana road stith zila chunavi karyalay se nikalkar sahar k pramukh margo ka bhraman karte hue punah chunavi karyalay pahuchkar samapt ho gayi …. Es dauraan press ko sambodhit karte hue Shri Ram ne kaha ki we logon ka pyar wa sneh paakar kaafi khush hain …. Es chunavi daure me chaukane wali 1 baat saamne aayi chunavi daure k dauraan BJP karyakarta khud bazaar chetra k logon ko maala dekar pratayashi “V.D Ram” ko maala pehnaane ka niwedan kar rahe the jisme bhi kayi log maala lene se katraate nazar aaye….





No comments:

Post a Comment