Apni maango ko lekar manrega karmiyon ka anwarat hadtaal jaari hai ..... Manrega karmi apne maango se sambandhit maang patra sopne jab zile k upayukt karyalay par pahucha toh upayukt apne karyalay me maujood nahi the .... Manrega Karmiyon ne es dauraan zila prasasan par aarop lagate hue kaha ki manrega karmiyon ki bahaali k waqt zila prasasan ne maandey se sambandhit koi bhi shart nahi rakhi thi ki COmtigony Fund se manrega karmiyon ko maandey diya jayega aur ab zila prasasan bolti hai ki 4%COnticengy Fund se karmiyon ka maandey ka bhugtaan kiya jayega .... Karmiyon ne aage maangen nahi pura hone tak apna aawedan jaari rakhne ki baatein kahi ....


No comments:
Post a Comment