"Baba Sahab Bhim Rao Ambedkar" ki 123vi jayanti palamau zile me dhoom-dhaam se mani .... Bye Pass Roas stith Rajkiye Anusuchit Jaati Kalyan Chatrawaas se "Baba Sahab Bhim Rao Ambedkar" ki sobha yatra nikali gayi .... yah sobha yatra chatrawaas se nikalkar sahar k pramukh margo ka bhraman karte hue thana Road stith Ambedkar Park pahuchi...... Sobha Yatra me saamil yuva es dauraan Baba Sahab amar rahe, Baba tere armaano ko manzil tak pahuchayenge etc gagan bhedi Naare laga rahe the ....
Sobha Yatra Ambedkar Park pahuchkar ek sabha me tabdeel ho gayi ... Es dauraan logon ne park me stith Baba Sahab k pratima par Phool Maala chadakar waha SUman arpit kiya .... Wahi Ambedkar Nawjawaan Club bhi Sobha Yatra nikalkar thana road stith Ambedkar Park pahuchkar Baba Sahab par puspa chadakar waha Suman arpit kiya .... Jabki Station Road stith Rjd karyalay me bhi RJD karyataon ne Baba Sahab k chitrapar puspa arpit kar shraddha arpit kiya ...



No comments:
Post a Comment