Sunday, April 27, 2014

Shahpur utri ki mukhiya “Nagma shaheen” ki adyakshta me sawain sahayta samooh ki mahilaon ki baitha hui ....

Shahpur utri ki mukhiya “Nagma shaheen” ki adyakshta me sawain sahayta samooh ki mahilaon ki baithak shahpur stith wiwah mandap me hui …. Baithak me kaafi sankhaya me samooh se judi mahilaen saamil hui …. Baithak k dauraan samooh ki mahilaon ne ek swar se samooh ki adyaksh “Arti Sharma” par aarop lagaya ki “Arti Sharma” bank dwara diye gaye samooh k paise ko hadap kar gayi hai ….. Wo samooh k bich paise nahi baanti , aaj bank se samooh ki mahilaon ko paisa jama karne k liye notice bheja ja raha hai ….. Mahilaon ne aage kaha ki samooh se judi adhiktar mahila athirit hai jiska laabh “Arti Sharma” utha rahi hai … Mahilaon ne mukhiya “nagma Shaheen” se tamaam mahilaon ka nayay dilane ki maang ki …  wahin mukhiya ne kaha ki jab tak mahilaon ko nayay nahi mil jata we andolan karengi ,…..


No comments:

Post a Comment