Palamau Police ne gupt suchna k adhaar par Shahpur stith
Puwe Area Commander “Mahendra Singh kakhaar” k ghar se Mahendra Singh Khakhaar
sahit 3 ugrawadiyon ko dhar dabocha …. Giraftaar ugrawadiyon ki nisaandehi par
police ne karso jungle se 1 “303 Rifle” k sath 70 zinda kartoos baramad kiya
hai …. Press warta kar zile k SP “Y.S Ramesh” ne batlaya ki teeno ugrawadiyon
me Lalan Singh kakhaar par darjano kaand ankit hain …. Jabki ugrawadi Mahendra
Singh Kakhaar par Palamau wa garhwa zile
k kayi ugrawadi kando ka aaropit hai ….


No comments:
Post a Comment