Thursday, April 17, 2014

Agyaat Saw ka sinkhat Chaibasa Zilabal k Hawaldaar “Awdesh Sharma” k roop me hui …

Bite dino Co-Operative bank k paas se mile saw ki pehchaan Chaibasa Zilabal k Hawaldaar “Awdesh Sharma” k roop me hui … Gyat ho ki 10 april ko palamau Sansadiye Seat par chunao karya me Shri Sharma ko duty mili thi, we pure team k sath palamau aaye the parantu achanak tabyat kharab hone k wajah se we apne sathiyon k sath wapas nahi ja sake wa unki mrityu ho gayi …. Udhar palamau police Shri Sharma k saw ko agyaat saw samajhkar antahparikshan karakar dafna diya … Jab aaj mritak Sharma ka putra khoj-been karte hue Medininagar pahucha tab sahar thana me photo dekhkar apne pita ko pehchaan liya ….. Aaj saw ko bahar nikala gaya wa parijano ko saunp diya gaya …. 



No comments:

Post a Comment