Saturday, April 26, 2014

Mahila ne kiya sarkari bhawan pe kabja .... BDO se ki nok-jhok

Sawarn Jayanti Sawrojgaar Yojna Antargat Nirmit Wees-Sawayn Sahayta Samooh k liye Bhawan par sarkari kabja dilane pahuche BDO par sawayn sahayta samooh ki sanchalika jam kar baras uthi …. Sath hi kah dala ki Aykar Sanhita ka fayda utha rahe hain ….. BDO unke jeete jee kabhi bhi wo sarkari bhawan ko nahi karegi khali …. Esi beech BDO wa Arti Sharma k beech kaafi nok jhok hui …. Dar asal Shahpur Chowk stith Kaanihouse ki zameen par sawayn sahayta samooh  ki baithak wa anya karyon k liye bhawan ka nirmaan zila prasasan ne kiya tha aur eski chavi samooh ki tatkaal adyaksh Arti Sharma ko saunpa tha …… wahin BDO Vipin Kr. Dubey kal subah 10 baje tak sarkari bhawan khali karne ka notice sarkari bhawan par chipka diya hai  wa kal mahila police k dekh rekh me khali karane ki batein kahi …. 



No comments:

Post a Comment