Saturday, April 12, 2014

BJP neta "Prem Singh" press warta ko sambodhit karte hue ...

Beete 10 April ko sampann hue 16vi LokSabha Election ko lekar BJP k "Prem Singh" ne party k chunao karyalay me presswarta ki .... 
Press ko sambodhit karte hue Shri Singh ne chunao k dauraan waywastha ko lekar kaafi aasantosh jaahir kiya , kaha Bhagwaan bharose chunao shantipurn sampann hua .... Unhone Zila Nirwachan Padadhikaari par suraksha ki samuchit waywastha nahi karne ka aarop lagaya wa kaha ki chunao k dauraan sattadhari log suraksha karmi k sath ghum rahe the wa BJP neta Bipin Bihari Singh par Widhayak Sanjay Yadav k suraksha karmi dwara dande bhi barsaye gaye bawjood abhi tak Zila prasasan koi thos pahal nahi ki .... Sath-hi-sath unhone JVM karyakartaon dwara lagataar BJP k karyakartaon ko dhamki di gayi .. Shri SIngh ne aage kaha ki bhawisya me yadi BJP karyakartaon k sath koi bhi apriya ghatna ghat-ti hai toh uski saari jawabdehi zila parasasan par hogi ...


No comments:

Post a Comment