BJP loksabha pratayashi "Vishnu Dayal Ram" ne sahitya samaj chowk stith sangh karyalay me presswarta ki ... Press ko sambodhit karte hue Shri Ram ne karyalay ko sarwopari batlate hue khud ko NAMO ko pratinidhi batlaya wa aage unhone kaha ki sampurn desh me mahangai , berojgari , garibi badhi hai wa bhrastachar charam sima par pahuch chuki hai ...... desh ki seemayein aasurakshit hain pichle 1 years se hamare desh ka samman ghat raha hai wa hum pichde hote ja rahe hain , sath hi sath aage unhone kaha ki jarurat hai janta ko jaagruk hone ki desh me wayapt bhrastachar wa berojgari par ankush lagane ki , BJP loksabha pratayashi ki ghosna hone k paschaat pahli baar V.D Ram media se mukhatib hue .....27 April 2013 ko BJP me saamil hue V.D Ram ne party k purane karyakartaon ka sath hone baad apni sunischit jeet ki daawedari bhi ki .....
Presswarta k paschaat BJP karyakartaon ne agami chunao ko lekar Zila karyasamiti ki baithak bhi ki wa chunao sambandhi maslon par gambhirta purwak wichar wimarsh kiya gaya , baithak me kaafi sankhaya me party k karyakarta upastith the .....
No comments:
Post a Comment