Wednesday, March 12, 2014

2 Heroine Taskar Police k girft me

Palamau Police ne gupt suchna k adhaar par chapemaari abhiyaan chalakar Kund Muhalla se 2 Heroine taskaron ko dhar dabocha , giraftaar taskar Umesh Ram wa Chamman Khalifa police ko dekhkar bhagne ka prayas kiye parantu prasasan ne daudkar dono taskaron ko giraftaar kar liya .... press warta kar DSP "Ajay Kumar" ne bataya ki in taskaron k paas se 90 gram Heroine baramad hui jiski keemat karib 4-5 Lac rupaye k aas-paas hai .... aage Shri Kumar ne sahar thana prabhari "Manoj Thakur" ki prasansa karte hue batlaya ki gupt suchna k adhaar par Shri Thakur Team gathit kar twarit karyawahi karte hue dono taskaron ko giraftaar kiye .... Taskaro k anusaar Banaras wa Sasaram se Heroine lakar sahar me becha ja raha tha .... 
Aapko jaankar yah aascharya hoga ki Heroine taskari ki Master Mind mahila hai , jee haan Kund Muhalla niwasi Jubaida Bibi is sargana ki sanchalak hai ... aur abhi wah faraar hai , prasasan uski talash me jut gayi hai aasha hai ki jubaida bibi ki giraftaari k baad kayi mahatwapurn maamle ki khulase honge ....  






No comments:

Post a Comment