Bhaichaare wa Prem ka sandesh dene wale tayohaar Holi k din Mukhiya ne dikhayi dabangai, .. Patan Thana antargat Sirma Niwasi "Sugrew Pandey" dawa kharidne ja raha tha usi kram me chetra k mukhiya "Rakesh Dubey" wa unke 2-4 saathi sharaab k nase me dhut the wa Shri Pandey se Holi kharch maanga jab Shri Pandey ne Holi ka kharch dene se inkaar kiya tab mukhiya wa unke sahyogiyon ne uske sath Gaali-Galoj wa maarpeet karne lage, Jaan bachakar kisi tarah Sugrew Pandey bhagkar apne ghar pahucha jaha beech bachaw karne nikli unki patni wa bahu ko bhi mukhiya ne buri tarah peeta wa mahila ki 1 ungli bhi kaat daali ,.... Mukhiya dwara kiye gaye is nirmam kukritya se sthaniye logon me kaafi aakrosh wayapt hai wahin pidit shri pandey k putra ne patan thane me ghatna ki prathmiki darj karayi hai ....
Police ne twarit karyawahi karte hue aaropi Mukhiya awam uske sathiyon ko giraftaar kar Jail bhej diya ....
No comments:
Post a Comment