Friday, March 7, 2014

JMM ki baithak Jailhata stith karyalay me kiya gaya ....

Sthaniye Jailhata stith JMM karyalaya me JMM jiladyaksha "Rajendra Kumar Sinha" ki adyakshta me JMM karyakartaon ki baithak hui ..... baithak k dauraan press ko sambodhit karte hue Jiladyaksha Shri Sinha ne kaha ki "Saansad Kameswar Baitha" ne party se istifa nahi diya hai baliki party ne unhe nikaal diya hai .....  we barabar party wirodhi karya karte rahe hain yahi wajah hai ki party ne unhe palamau se ummidwar nhi banaya .... jab se wo party k saansad bane hain tab se we sirf aur sirf apne swarth me kaam kiya hai  naaki party k liye ..... wahin baithak me bataur mukhya atithi k roop me kendriya committee sadasya "Ganesh Singh" ne Kameswar baitha dwara saansad nidhi se kiye gaye kharch ki jaanch ki maang sarkar se ki ...   

No comments:

Post a Comment