Bahujan Samaj Party k Palamau Loksabha umidwaar "R.P Ranjan" ne upayukt palamau k samaksha apna namankan patra daakhil kiya .... chunao ko lekar kaafi utsahit Shri Ranjan ne apna lakshya Samajseva karna batlaya sath hi sath unhone palamau me khanij sampada ka bhandaar hone k bawjood zile me bhukmari wa berojgaari ki samasya ko durbhagyapurn batlate hue purwa wa wartamaan saansadon par jamkar nisana saadha....
Aapko bata dein ki "R.P Ranjan" puirwamein bhi 1999 me loksabha seat k umidwaar rahe the .... Purwa Loksabha chunao mein chatra se wa widhansabha chunao me chhatarpur se chuno lad chuke hain .... parantu abhi tak unhone jeet haasil nahi ki hai .... ab dekhna hai ki kya es chunao me we janta k beech wiswaas bana sakte hain .... Naqmankan se purwa BSP karyakarta sahitya samaj k maidaan me ekatrit hokar rally ki sakl me juloos nikaalkar sahar k pramukh margon se hote hue samaharnalay parisar pahuche ..... Rally k dauraan BSP karyakarta "R.P Ranjan" jindabaad , Bahujan Samaj Party Jindabaad k naare laga rahe the ....
No comments:
Post a Comment