JVM k Palamau k LokSabha pratyashi "ghuran Ram" ne namankan patra daakhil kiya ... Is dauraan JVM suprimo "Babu Lal Marandi" ne sthniye Shivaji Maidaan me logon sambodhit karte hue BJP me naitikta khatm hone ki baatein kahi wa BJP sahit Congress par bhi rajya k khanij sampada ko bechkar rajya ko kokhla karne wa berojgari badhane ka aarop lagaya .... sath hi sath Shri Marandi ne kaha ki Modi ka Foreign Company k sath sauda hua aur widesi company hi BJP ka kharch wahan kar rahi hai ..... Aage unhone rajya me JVM ki sarkaar banne par Siksha k shetra me wistaar , Garibon ko rojgaar wa Hospital sahit sinchai ki waywastha prabal karne ka wada kiya jabki party k pratayashi "Ghuran Ram" ne bhi BJP ki kade sabdon me aalochna karte hue BJP k purwa Saansad "Brij Mohan Ram" ko ticket nahi dene par narajgi jatate hue kaha ki BJP palamau k waykti ko chhodkar baahar k waykti ko palamau ka kamaan de rahi hai, jo auchit hai .... Baahri waykti lutne k siway chetra me Vikaas ka karya nahi karega ,... Namankan k dauraan kaafi sankhaya me party k karyakarta kutchery parisar me aaye wa aachaar sanhita ka paalan karte hue shantipurwak dhang se Namankan darj karakar Shri Ram punah Shivaji Maidaan pahuche jahan hazaron ki sankhaya me party k karyakarta upastith the .... Is dauraan AJSU k kayi karyakartaon ne party se prabhawit hokar JVM ki sadasyata grahan ki ....
No comments:
Post a Comment