Saturday, March 15, 2014

JVM ne 19 march ko namankan daakhil karne ka nirnay liya ....

Agaami Loksabha chunao ki tayari ko lekar JVM k karyakartaon ne party k upadayaksha sah garhwa widhayak "Satendra Nath Tiwari" k byepass road stith awaas par baithak ki .....
Baithak ki adyakshta party k ziladyaksha "Avinash Verma" wa sanchalan Zila Mahasachiw "Jitendra Pandey" ne kiya ..... baithak k dauraan party k pratayashi ghuran Ram ka namankan agaami 19 march ko karne ka nirnay liya gaya .... sath hi sath namankan me apni majboot stithi wa jeet ki daawedari dikhane k liye pratyek booth committee k sadasyon ko namankan karyakaram me saamil hone ki apeel ki gayi hai ......
Is dauraan Shri Verma ne batlaya ki agaami 19 march ko Shivaji Maidaan me vishal jansabha ka aayojan kiya jayega wa janta k kaafile k sath julus k shakal me Ghuran Ram namankan daakhil karne jayenge wa apni jeet ki majboot dawedaari pesh karenge ....





No comments:

Post a Comment