Byepass road stith Aawasiye Baal Siksha Niketan Vidyalay me widyarthi sanskar awam sammaan samaroh ka aayojan kiya gaya .... Karyakaram me bataur mukhya atithi Dev Sanskriti Wiswavidyalay Shantikunj Haridwaar se aayi "Wandana Agrawal, Pragya Agrawal wa Mansa Madesia" upastith thi ....
Vidyalay ki chatraon ne swagat gaan gaakar atithiyon ka swagat kiya , is dauraan Bhartiye Sanskritik Gyan Pariksha me pure rajya me Pratham Sthan Prapt karne wale Vidyalay k 7vi warg k chatra "Ankush Kumar" ko mukhya atithi dwara puraskrit dekar uska hosla afjayi kiya gaya sath hi sath dev sanskritik wiswavidyalay k taraf se Ankush ko 2500 rupaye nagad puraskaar bhi diya gaya ..... Rajya me sarwochhya sthaan prapt karne par jahan vidyalay nidesak ne kafi prasanta jahir ki wahin Ankush ki taarif karte karte thak nhi rahe the jabki vidyalay k chatron me is dauraan kaafi utsaah dekha gaya ....
No comments:
Post a Comment