Paise lekar Namankan karne wa College prabandhan par manmaani ka aarop lagate hue Chianki stith Elite BED College k chatron ne college prabandhan k khilaaf naarebaazi karte hue college me talabandi ki wa jamkar tod-fod bhi kiya ..... Chatron ne College prabandhan par aarop lagate hue kaha ki namankan k samay paise lekar awasyakta se adhik namankan kar liya gaya aur ab 21 chatron ko merit k adhaar batakar unka registration nahi kiya ja raha hai .... Un 21 chatron ka 1 year samay beet jane k paschaat unka panjiyan nahi hone par chatron ka bhawisya adhar me latak gaya hai .... Isi baat se gussaye chatron ne college prabandhan k khilaaf jamkar aakrosh wayakt kiya ... wahin kuch chatron ne apna aapa kho diya aur college me jamkar tod-fod bhi ki .... chatron ka netritwa kar rahe Ajit Cooubey ne kaha ki yadi is disa me sarthak pahal nahi ki jati hai wa agar chatron ko nayay nhi mila toh aage ugra aandolan kiya jayega ....... Jabki college k Principal ne apni galti swikaar karte hue wiswavidyalay se prarthana kar chatron ka registration ki baatein kahin ....
No comments:
Post a Comment