Aapne suna hi hoga jo jitna teji se upar uthta hai utni hi teji se niche bhi girta hai .... Ji haan hum baat kar rahe hain "Aam Aadmi Party" ki jisne 2 warson me 1 nayi bulandi ko chukar rajniti k duniya me misaal banaya parantu bahut jald hi AAP Party ki chamak damak khone lagi hai wa party ka astitwa khatm hote ja raha hai... Jahan Kejriwal par sayahi feki ja rahi hai wa kaale jhande dikhaye ja rahe hain ....Wahi party karyakarta bhi teji se party chhod rahe hain .... Zile k charchit Samaj Sevi "Sanjay Singh" kuch mah peele AAP Party ki sadasyata grahan kiye the parantu ab we party post se istifa de diye .... sthaniye AAP Party karyalay me press warta kar Shri Singh ne batlaya ki jhutha aswasan wa jhuthe bayanbaazi se naaraaz hokar we party chhod rahe hain ...Es dauraan Shri Singh k sath-sath sekdo AAP Party karyakarta saweksha se party chode....
No comments:
Post a Comment