Wednesday, March 5, 2014

Elite Public School k Student ne kiya Aatmahatya .....

Welwadamar Ranka prakhand niwasi wa Elite Public School ka student "Prince Kumar" ne chianki stith Om Agrawal k bagaan me Aam k ped me faasi lagakar apni jeevan ki uhlila samapt kar li ....
Ghatna subah karib 8 bje ki hai , apne bhai k sang kiraye k makaan me rahkar padhne wale 19 warsiye student prince apne bhai k sang ISC ki pariksha dene jane wala tha .... mritak prince k bada bhai pehle ghar se yah kahkar nikal gaya ki wo school ja rha hai tum piche se aa jana .... Bada bhai school pahuch gaya parantu school me apne chote bhai ko na pakar uski bechaini badhi .... us beech bagaan k dekh rekh karne wale ki nazar Aam k ped par padi toh wo bhouchak rah gaya ...... Aam k ped par Prince latak raha tha ...... Maali ne turant iski suchna police ko diya , police ne twarit karyawahi karte hue bagaan ka tala kholkar ghatna sthal par pahuchkar saw ka sinakht kiya wa phir saw ko kabje me lekar annt parishan k liye Sadar Hospital bhej diya ....
Wahi ghatna ki khabar Chianki me aag ki tarah fel gayi wa dekhte-dekhte sekdon mahila purushon ki bheed ghatna sthal par umad gayi .....
Filhaal Police maanti hai ki yah Aatmahatya ka maamla hai parantu taftis karne ki baatein kahti hai .... 





No comments:

Post a Comment