Sthaniye St.Mariam School k prangan me widai samaroh ka aayojan kiya gaya .... Karyakaram ka udghatan bataur mukhya atithi "Dr.Amit Kumar wa Dr.Rajesh Kumar" ne sanyukt roop se Fita kaatkar kiya .... Mauke par karib 100 students jo daswin ki waarsik pariksha de chuke hain unhe widai di gayi .....
Karyakaram k dauraan schooli students ne ek se badhkar ek nritya pesh kar upastith logon ka mann moh liya ..... Karyakaram ko sambodhit karte hue school k nideshak "Avinash Dev" ne jahan school chodkar ja rahe students ko unke ujjawal bhawisya ki kaamna ki wahin kaha ki student apni manzil wa ucchaiyon ko chhue yahi sikshak ko students k dwara diya jaane wala sabse badi dakshina hai ....


No comments:
Post a Comment