Thursday, March 13, 2014

Holi Milan Samaroh ka aayoja sthaniye Baralota me kiya gaya .....

Basant Ritu k aate hi Raag Sangeet aur  saat rangon k saath suron ka anokha sangam ka tayohaar "Holi" khusiyon ka bauchaar k sandesh k saath apne rang birange aanchal me sabko dhak leti hai ..... hinduon ka yah pramukh tayohaar Holi hindi panchang k anusaar Falgun maah ki purnima tithi ko manaya jata hai .......
Dusmani ko dosti k rang me rangne wala yah tayohaar  maatr tayohaar hai , jise desh k sabhi naagrik unmukt bhaw aur sauhaardpurn tarike se manate hain ,.... Is tayohaar me Bhasa,Jaati wa Dharm ki sabhi deewaren gir jaati hai , Holi k din rang khelte samay mann me khushi pyar aur umang chad jaati hai .....
Holi k is pawitra tayohaar k swagat me Baralota Nahar Kinare Holi Milan Samaroh ka aayojan kiya gaya , Is dauraan sthaniye log ek-dusre ko abeer gulaal lagakar Holi ki badhaiyan di .... sath hi sath Sanskritik karyakaram ka bhi aayojan kiya gaya ..... Nritya kar rahi nartakiyon ne karyakaram me 4 chand laga diya wa log Holi ki masti me sarabor dikhe.......
Mauke par Vinod Tiwari, Jitendra Tiwari, Mukesh Singh Chandel sahit kaafi sankhaya me aas-paas k log upastith the .....




No comments:

Post a Comment