Tuesday, March 11, 2014

Aadarsh Achaar Sanhita maamle me Mantri ko mili Rihai

Jharkhand Rajya k gramin vikas , panchayti ziladyaksha awam shram niyojan mantri "K.N Tripathi" awam congress k ziladyaksha "Chandra Shekhar Sukla" samet 2 anya aaropiyon ko aachaar sanhita k alag-alag 2 maamlon me nayayik dandadhikaari "Suresh Kumar" ki adalat ne sakshya nahi milne k karan barii kiya ..... Gaur talab hai ki Somwaar ko mantri Shri Tripathi wa anya aaropiyi adalat me haazir hue the aur apna bayaan darj karaya tha .... Jiske baad nayaylay dwara is maamle me faisla surakshit rakh liya gaya tha.... Aaj maamle ki sunwayi k baad aaropon k prati koi sakshya nahi hone k kaaran nayaylay dwara aadarsh aachaar sanhita k ukt dono maamlon k aaropiyon ko riha kar diya gaya ..... year 2005 awam year 2010 k chunao me Shri tripathi , Chandra Shekhar Sukla awam Madan Tiwari tatha Pramod Kumar k khilaaf aadarsh achaar sanhita ulanghan ka maamla darj karaya gaya tha .... Shri tripathi aaj bhi nayaylay pahuche aur rihai k baad samarthako k sath wapas laute....


No comments:

Post a Comment