Chainpur Thana antargat Bedi Panchayat Ward No. 2 k Ward Parsad "Sabina Bibi" k sauhar "Dr. Kayamuddin Ansari" wa Hadish Ansari Tuesday ko ratri pados k waykti ko Sadar Hospital lekar aye the , Hospital se ghar jaane k kram me Chainpur stith Karpuri Chowk k sameep Driver Mustakeem Ansari ko neend ki jhapki aa gaya aur sadak par bane breaker par Bolero waahan aaniyantrit hokar hawa me udte hue sidha deewar me ja takraya ...
is durghatna me Dr. Kayamuddin Ansari ki maut ho gayi wa Driver sahit Hadees Ansari ghayal ho gaya ..... ghatna me Bolero wahan buri tarah chatigrast ho gayi hai ....
No comments:
Post a Comment