Loksabha chunao nispaksha wa shantipurn dhang se sampann karane ko lekar DRDA sabhagaar me upayukt palamau kripanand Jha ne Zile k padadhikaari k sath aawasyak baithak ki ....
Baithak k dauraan Shri Jha ne padadhikari ko chunao k dauraan aadarsh achaar sanhita ka anupaalan har haal me saunischit karne ka kada nirdes diya sath hi sath kaha ki yadi kahin bhi kisi rajyanitik party ka bina aadesh jhanda wa banner ya deewar lekhan paya gaya toh sambandhit B.D.O , C.O par karyawahi ki jayegi ....Is dauraan chunao k sandarv me kayi aawasyak nirdes sahit chunao sambandhit prasikshan bhi diya gaya ... baithak me S.D.O , C.O sahit anya kayi padadhikari upastith the ...
No comments:
Post a Comment