Agami chunao ko lekar party ko majbooti pradaan karne hetu sthaniye SHivaji Maidaan me Bhakpa Maale ne janwikalp rally ka aayojan kiya .....
Rally me bataur mukhya atithi party k mahasachiw "Dipankar Bhattacharya" upastith the .... jabki rally ki adyakshta "R.N Singh" wa sanchalan "Ravindra Bhuiyan" ne kiya .... Is dauraan Shri Bhattacharya ne beete dino hue AJSU neta "Tileswar Sahu" ki hatya ki kade sabdon me ninda karte hue CBI jaanch ki maang ki ... sath hi sath aage unhone BJP par nisana saadhte hue kaha ki "Narendra Modi" desh k sampradayik arajakta failana chahte hain .... wa wideshi niwesko sahit Rajthakre ka samarthan prapt kar desh me tanashahi ka mahaul banana chahte hain .... Aage unhone agaami chunaao me apni party ko Jharkhand me 8 seat par wa pure desh me 85 seat par chunao ladne ki baatein kahi... Rally me kafi sankhaya me party k karyakarta upastith the ....
No comments:
Post a Comment