Palamau Police ne gupt suchna k adhaar par Daltonganj k bahlolwa chetra se Zile ka aatank paryay bana apradhi "Vijay Sharma urf Gura" ko dhar dabocha.... Giraftaar apradhi k paas se police ne 1 9MM ka Pistol wa 4 zinda kartoos baramad kiya .... Police ko pichle 5 saalon se Vijay ki talaash thi .... lagbhag 36 warsiye apradhi "Vijay Sharma urf Gura" mohammadganj k gaazi wigha gaon ka rehne wala hai ..... Apradhi Sharma par zile k wibhinn thanon me lagbhag 1 darjan hatya , rangdaari, apharan sahit anya maamle darj hai .... Press warta kar DSP Ajay Kumar ne kaha ki Vijay ki giraftaari police k liye badi uplabdhi hai ... is se aur bhi kayi raaj khulne ki sambhawna hai ....
No comments:
Post a Comment