Monday, March 31, 2014

Paatan : SI ne gramino par B.D Ram ko vote dene k liye diya dabaw ...

Ab aap BJP pratayashi B.D Ram ko vote nahi denge toh maar khane ko tayar rahe.... Ji haan yah hum nahi Paatan k Gramino ne Zila Nirwachan Padadhikaari se mulakaat kar nayay ka guhaar lagaya hai ....
Gramino ne BJP Pratayashi B.D Ram par arop lagaya ki unke nirdesh par Paatan Thana me padasthapit SI "K.K Adhikaari" Gramino par B.D Ram ko vote dene k liye dabaw bana rahe hain ... sathn hi sath dabaw me nahi aane wale gramino par dande bhi barsa rahe hain wa bhawisya me khamiyaja bhugatne ki dhamki bhi de rahe hain .... Gramino ne mukhya chunao aayukt ko patra likhkar SI Shri Adhikaari par karyawahi karne ki maang ki hai .....
Darsako aapne suna gramino ki kahani unki jubaani ,... jab shuruwaat yah hai toh jitne k baad kya hoga ,. aap khud soche .....



RamNavmi Puja Dhoom-Dhaam se manane hetu kiya gaya baithak....

RamNavmi Puja ko safal banane ko lekar Rajmani Dharamshala me Mahavir Navyuwak  Dal k adyaksha ne sabhi sangh wa akhadon k sath baithak ki .... BVaithak k dauraan jahan puja dhoom-dhaam se manane par bal diya gaya wahi Lok Sabha Chunao ko lekar samay par julus wa rath nikalne ki baaton par wichar wimarsh kiya gaya ....


Matdataon ko apne Vote dene k prati jaagruk karne k khayal se Zila Wiklaang Sangh k sadasyon ne Rally nikali

Matdataon ko apne Vote dene k prati jaagruk karne k khayal se Zila Wiklaang Sangh k sadasyon ne Rally nikali , Rally Sangh karyalay se nikal kar sahar k pramukh margon ka bhraman karte hue punah sangh karyalay pahuchkar samapt ho gayi ... Rally k dauraan sangh k sadasyon ne apna vote apna adhikaar sahit anya tarah k kayi gaganbhedi naare lagaye .... 



AJSU ka karyakarta sammelan Panki me Ayojit kiya gaya ...

Agaami Lok Sabha Chunao ko lekar Chatra Sansadiye chetra se chunao lad rahe AJSU pratayashi "Naagmani" ne Panki k Renu Talkies me Panki Widhan Sabha Stariye Karyakarta Sammelan ka aayojan kiya ..... Sammelan me kafi sankhaya me karyakarta bhaag liye .... karyakaram ki adyakshta AJSU neta Lal Suraj ne kiya ... Es dauraan logon ko sambodhit karte hue waqtaon ne karyakartaon k andar josh bharte hue AJSU Party ki jeet sunischit karne ki baatein kahi ....




Lok Sabha Chunao me Vote dene hetu palamau k "Waisya Samaj" ne kiya press warta ....

Lok Sabha chunao me waisya Samaj k logon k adhikaar k prati sakriya umiddwar ko apna mat pradan karne hetu Jharkhand Waisya Samaj Morcha k kendriya mahasachiw “Rajesh Kumar Gupta” ne sthaniye Swagat Hotel me press warta ki …..
Press ko sambodhit karte hue Shri Gupta ne batlaya ki Es chunao me we usi pratayashi ko samarthan denge jo unke adhikaar k prati sajag rahenge wa Waisya Samaj k utthan me bhagidaari nibhayenge …. Sath hi sath rajya k 14 loksabha seat me 1 seat par bhi Waisya Samaj ka ummidwaar nahi hone par unhone kaafi narazgi jatayi …… Mauke par waisya samaj morcha k kayi sadasya upastith the ,…




Sunday, March 30, 2014

wan wibhag dwara galat tarike se survey kar Nursery lagane ka karya kiya ja raha hai wa gramino ka ghar bhi toda ja raha hai

Chainpur Thana antargat khura kala k sekdo gramin D.F.O se mile ...Gramino ne wan wibhag sahit kuch gaon k logon par aarop lagate hue kaha ki pichle 75 warson se jis jameen par we kheti kar rahe hain us jameen par wan wibhag dwara galat tarike se survey kar Nursery lagane ka karya kiya ja raha hai wa gramino ka ghar bhi toda ja raha hai .... Mauke par maujood Ekta Parisad k prakostha Adyaksha Indu Bhagat ne batlaya ki D.F.O se warta hui wa D.F.O ne jaanch kar karyawahi karne ka aaswasan diya .... sath hi sath filhaal nursery lagane par rok laga di gayi hai ...




Palamau se "Aam Aadmi Party" k takriban 150 karyakartaon ne Estifa diya ....

Aapne suna hi hoga jo jitna teji se upar uthta hai utni hi teji se niche bhi girta hai .... Ji haan hum baat kar rahe hain "Aam Aadmi Party" ki jisne 2 warson me 1 nayi bulandi ko chukar rajniti k duniya me misaal banaya parantu bahut jald hi AAP Party ki chamak damak khone lagi hai wa party ka astitwa khatm hote ja raha hai... Jahan Kejriwal par sayahi feki ja rahi hai   wa kaale jhande dikhaye ja rahe hain ....Wahi party karyakarta bhi teji se party chhod rahe hain ....  Zile k charchit Samaj Sevi "Sanjay Singh" kuch mah peele AAP Party ki sadasyata grahan kiye the parantu ab we party post se istifa de diye .... sthaniye AAP Party karyalay me press warta kar Shri Singh ne batlaya ki jhutha aswasan wa jhuthe bayanbaazi se naaraaz  hokar we party chhod rahe hain ...Es dauraan Shri Singh k sath-sath sekdo AAP Party karyakarta saweksha se party chode....



Chetra-Navratra k awsar par Shri Ram Charitra Manas Nawahan Parayan Paath Mahayagya ka aayojan kiya gaya ...

Chetra-Navratra k awsar par Sadar Prakhand antargat suwa kediya gaon me Shri Ram Charitra Manas Nawahan Parayan Paath Mahayagya ka aayojan kiya gaya hai ....
Kalash yatra k sath prarambh hue es yagya me hazaron ki sankhaya me aas paas k gramin shridaalu saamil hue .... gramino k sath sath samajsewi Sanjay Singh bhi kalash yatra me sammilit the ....Es dauraan Shri Singh ne batlaya ki Navratra k awsar par hone wale yagya ka yah teesra adhiwesan hai .... Aage unhone batlaya ki samajik ekta ko kaayam rakhne wa dharmik maahol banane k liye pratyek saal sua kediya me Ram Charit Maanas Nawahan Prayan Paath Mahayagya ka aayojan kiya jata hai .....



Saturday, March 29, 2014

Namdhari ne BJP ko kiya bye-bye .....

Breaking News : "DILIP SINGH NAMDHARI" ne BJP ko kiya alvida ....




Jharkhand Mukti Alpsankhayak Morcha k kendriya upadyaksha "Iqbal Ahmad" ne apne awaas par press warta ki

Jharkhand Mukti Alpsankhayak Morcha k kendriya upadyaksha "Iqbal Ahmad" ne apne awaas par press warta ki ... Es dauraan press ko sambodhit kar batlaya ki palamau wa chatra sansadiye seat se U.P.A gathbandhan k umidwaar ko jitane hetu widhansabhawaar chunao tayari samiti k sabhi sadasy palamau se Manoj Bhuiya wa chatra se Dheeraj Prashad Sahu ko jitane k liye dridh sanklipt hain .... Es dauraan kayi logon ne party ki sadasyata grahan ki ....


Police ko mili 1 aur badi safalta "Vijay Sharma urf Gura" k pakde jane se ....

Palamau Police ne gupt suchna k adhaar par Daltonganj k bahlolwa chetra se Zile ka aatank paryay bana apradhi "Vijay Sharma urf Gura" ko dhar dabocha.... Giraftaar apradhi k paas se police ne 1 9MM ka Pistol  wa 4 zinda kartoos baramad kiya .... Police ko pichle 5 saalon se Vijay ki talaash thi .... lagbhag 36 warsiye apradhi "Vijay Sharma urf Gura" mohammadganj k gaazi wigha gaon ka rehne wala hai ..... Apradhi Sharma par zile k wibhinn thanon me lagbhag 1 darjan hatya , rangdaari, apharan sahit anya maamle darj hai .... Press warta kar DSP Ajay Kumar ne kaha ki Vijay ki giraftaari police k liye badi uplabdhi hai ... is se aur bhi kayi raaj khulne ki sambhawna hai ....




Doctor "M.P Singh" k compounder ne unke sath kiya farjiwada ....

Zile k charchit Doctor "M.P Singh" k compounder Shankar kumar ne UCO Bank k karmi ki mili bhagat se Dr.Shri Singh k naam se UCO Bank me khata kholkar  Dr.Shri Singh ko lakhon ka chuna lagaya .... Jabtak Dr.Shri Singh ki iski jankari hoti tabtak karib 2 lakh rupaye ka compounder ne chuna laga dala ...Darasal Dr.Shri Singh k yahan karib 12 warson se Shankar compounder ka karya karta tha eske sath sath wo LIC ka bhi karya karta tha wa "Dr.Shri Singh" ka bhi LIC kar rakha tha ....Compounder Shankar ne "Dr.Shri Singh" k naam par UCO Bank me Bank karmi Manish Kumar ki mili bhagat se khata kholkar "Dr.Shri Singh" ka LIC dwara prapt check ko khata me daal kar farji dhang se paise ki nikasi karta tha .... Jab iski jankari "Dr.Shri Singh"  ko hui toh unhone iski likhit sikayat Daltonganj Sahar Thana me di .... Police ne twarit karyawahi karte hue Shankar ko giraftaar kar liya hai jabki Bank Karmi abhi bhi faraar hai jiski khojbeen me police jut gayi hai ....


25 march se prarambh .Mega Lok Adalat ka samapan hua

Kutchery stith waywahar nayaylay parisar me 25 march se prarambh 5 diwasiye Mega Lok Adalat ka samapan hua ...
Es dauraan pradhan Zila awam Nayaydhis "K.K Shrivastav" ne batlaya ki Mega Lok Adalat k dauraan 642 cason ka niptara hua , sath hi sath unhone kaha ki chunao ko lekar prasasan dwara wahno ko chunao karya me lagane se Mega Lok Adalat par kafi gahra asar pada , gramin chetra se bahut kum log apne case ka niptara kara paye , aage unhone batlaya ki chunao ko lekar 12 April ko hone wale Rashtriya Lok Adalat ko sthagit kar diya gaya ....


LokSabha chunao ko lekar sthaniye Nagar Bhawan me chunao karya me sammilit teachers ko 1 diwasiye prasiksha diya gaya ...

LokSabha chunao ko lekar sthaniye Nagar Bhawan me chunao karya me sammilit Sikshakon ko 1 diwasiye prasikshak diya gaya .....
Es dauraan prasiding ka karya karne wale teachers ko EVM Machine ka parichalan wa takniki gyan sahit prapatron ki jaanch wa chunao k dauraan baratne wali sawdhaniyon k wisay me baariki se batlaya gaya ...

"Bhartiye Red Cross Society" dwara raktdaan karne wale logon ko sammanit kiya gaya

Raktdaan jivandaan mana jata hai , kayi sanghatan k log prabudh nagrik raktdaan kar logon ki jaan bachane me aham bhumika nibhate hain .... Raktdaan karne wale logon ko protsahit karne k liye "Bhartiye Red Cross Society" dwara raktdaan karne wale logon ko sammanit kiya gaya , sath hi sath 1 year me 2 baar raktdaan karne wale logon ko Palamau Civil Sergeon ne Shield dekar unhe sammanit kiya wa unke prati abhaar prakat kiya ....


LokSabha Chunao ko lekar BJP ki Press Warta

LokSabha chunao ki tayari ko lekar BJP k Jharkhand prabhari "Vinod Pandey" ne BJP k sthaniye chunao karyalay me presswarta ki ... Press ko sambodhit karte hue Shri pandey ne kaha ki Congress pichle 10 warson k saasan kaal me janta ko niraas kiya hai wa sath hi sath jaatiwaad ko mudda banakar chetriye dal bhi U.P.A se milkar desh me mahangai bhrastachar wa berojgaari ko badhaya hai .... aage unhone NAMO k desh ka pradhanmantri banane ki baatein kahte hue Bharat ko Audhogik chetra me wiksit wa shaktishali Bharat nirmaan karne ki batein kahi .......Mauke par purwa sansad BrajMohan Ram , ShyamNarayan Dubey sahit kayi BJP karyakarta upastith the ....


Friday, March 28, 2014

U.P.A gathbandhan ka chunawi karyalay khula ....

Bus Stand stith Jagat Kutir me U.P.A gathbandhan ka chunawi karyalay khula …. Karyalay ka udghatan U.P.A gathbandhan k pratayashi “Manoj Bhuiyan” ne fita kaat kar kiya …. Es dauraan Shri Bhuiyan palamau sansadiye chetra se apni jeet sunischit batlate hue palamau se berojgaari dur karne ki batein kahi …. Es dauraan mauke par kaafi sankhaya me JMM,Congress wa RJD k karyakarta upastith the ….


Agami Lok Sabha Chunao ko lekar DRDA sabhagaar me baithak....

Agaami Lok Sabha chunao shantipurn karane ko lekar teeno zilon k prasasnik padadhikari ki baithak DRDA k sabhagaar hall me hui …. Baithak me teeno zilon k police adishak ,upadhishak , upayukt wa pramandal k aayukt wa police upmahanirishak saamil hue ….. Baithak k dauraan jahan VVIP,VIP sahit matdataon ko puri tarah suraksha dene par gahan chintan manthan kiya gaya …. Baithak me kaafi sankhaya me adhikaari wa karmi upastith the ….



Byepass Road stith Garhwa widhayak “Satyendra Nath Tiwari” k awaas par “JVM” chunawi karyalay khula

Byepass Road stith Garhwa widhayak “Satyendra Nath Tiwari” k awaas par “JVM” chunawi karyalay khula …. Karyalay ka udghatan “JVM” palamau loksabha pratayashi “Ghuran Ram” ne fita kaatkar kiya ….Es dauraan Shri ram ne BJP par nisana sadhte hue BJP ki kadi ninda ki, sath hi sath apni jeet ka dawa karte hue palamau seat se jeet haasil kar palamau me sinchai waywastha , sawastha waywastha sahit Jharkhand ka wises rajya ka darja dilane ki batein kahi …. Karyakaram me kaafi sankhaya me JVM karyakarta upastith the …..


26 warsiye Birendra Mehta ka dhardaar hathyaar se gala ret kar hatya

Wishrampur thana antargat khokhma niwasi 26 warsiye Birendra Mehta ka dhardaar hathyaar se gala ret kar hatya kar di gayi ….. Mritak yuwak k parijano k anusaar wah apne mata pita ka elaaz karane kandi gaya hua tha jahan usi gaon k Ashok Singh yuwak ko ishara kar bulaya wa gala ret diya ….. Mritak k pita mane toh hatyare Ashok Singh ki behen use dhardaar hathyaar di thi …. Ghatna k baad se hathyaara wa uski bahan faraar hai wahin mritak k pita dwara prathmiki darj kara di gayi hai ….. Police saw ko kabje me lekar antaparikshan k liye Sadar Hospital bhej di hai wa maamle ki taftees me jut gayi hai ….



"Mahaveer Navyuwak Dal" ki baithak

RamNavmi Puja ko lekar “Mahaveer Navyuwak dal” k sadasyon ne sthaniye Rajmani dharmashala me presswarta ki …. Press ko sambodhit karte hue “Mahaveer Navyuwak Dal” k adyaksha “Sugal Kishore” ne sahar k pramukh chowk chowrahe par tauran dwara banana sahit 150 Electronic pillar lagane wa sajawat ki bharpur waywastha karne ki batein kahin …. Sath hi sath aage unhone Ramnavmi puja k dauraan suraksha k prabal waywasth rakhne k liye zila prasasan se mahila police ki bhi duty lagane ki apeel ki …. Baithak me kaafi sankhaya me “Mahaveer Navyuwak Dal” k sadasya upastith the ….


Thursday, March 27, 2014

Lok Sabha Chunao me Manoj Bhuiya ki stithi majboot ....

LokSabha Chunao me Manoj Bhuiyan ki majboot stithi se awgat karane ko lekar RJD k Ziladyaksha "Shankar Yadav" ne sthaniye "APTECH Computer Education" me presswarta ki ....
Press ko sambodhit karte hue Shri Yadav ne palamau Sansadiye Seat se Shri Bhuiyan ki jeet ka dawa kiya wa batlaya ki medininagar me K.N Tripathy, Hussainabad Chetra me "Sanjay Singh Yadav" Wishrampur Chetra me "RamChandra Chandrawansi", BhawnathPur me "Ananth Pratap dev" sahit Garhwa me "Girinath Singh" chunao ka kamaan sambhal rahe hain .... Aage unhone kaha ki party karyaklartaon ka bhraman lagataar jaari hai ./... aur jagah jagah unki stithi majboot hai ... we apaar samarthan milne ki baatein kah apne pratayashi k jeet k prati aaswast dikhe .....


Naxali dwara band ka asar

27 March se 02 April tak naxali kala diwas mana rahe hain .... 27 March kala diwas k pehle din naxalion dwara kiye gaye bandi ka gahra asar dekhne ko mila chahe wo bus padaw ho ya phir choti wahan ya Rikshaw padaw har jagah sannata pasra raha .... Yatri wahno k intezaar me khade pratiksha karte dekhe gaye, Bus stand se parichalan hone wali sabhi buson k pahiye bame rahe .... ayni ki hum keh sakte hain ki naxali bandi ka asar kaafi prabhawsaali raha .... Gramin chetron se badhte hue naxali khouf ka manzar ab sahron me bhi dekhne ko mil raha hai .... bandi k karan kaafi sankhaya me yatri sahit sthaniye log prabhawit hue wahin waywasayion ka karobaar prabhawit hua .... aaye din k apeksha sadko par din bhar sannata pasra raha .....



paryawaran jagrukta karyakaram ka aayojan "Jan Akanksha Foundation" k dwara kiya gaya ....

Wan awam paryawaran Mantralay Bharat Sarkar dwara "BRIVA Ranchi" k nirdesanusaar pokhraha panchayat sachiwalay me"Jan Akanksha Foundation" k dwara paryawaran jagrukta karyakaram aayojit kiya gaya hai ..... karyakaram me bataur mukhya atithi Zila Parsad "Asha Tiwari" wa wisist atithi k roop me prakhand pramukh "Nira Devi" upastith thi , Jabki karyakaram ki adyakshta Dr.ShyamDev Mehta wa sanchalan sanstha k sachiw "Kumar Anup" ne kiya....
Is Dauraan paryawaran pradushan par wistaar se charcha karte hue pradushan niyantrit karne par wisesh bal diya gaya ...wahin Urea wa D.A.P khaad k prayog par rok lagane sahit jaiwik khad ka upyog karne ki batein kahi gayi .... sath hi sath jyada se jyada wriksha lagakar paryawaran ko surakshit banane ki logon se apeel bhi ki gayi wa panchayat sachiwalay parisar me pipal k 5 wriksha bhi lagaye gaye ,.... karyakaram me kafi sankhaya me gramin upastith the ....



Sunday, March 23, 2014

Yog Mahatsav ka aayojan sthaniye ShivaJi Maidaan me kiya gya tha ...

Amar Saheed Bhagat Singh awam Rajguru k sahadat diwas k awsar par Bharat Swabhimaan nayas ne ShivaJi Maidaan me Yog Mahotsav ka aayojan kiya ....
Karyakaram ka aayojan bataur mukhya atithi Nagar parsad Adyakshta "Poonam Singh" ne dweep prajwalit kar kiya .... Karyakaram k dauraan Yog mahatsav k udyesya se logo ko awgat karaya gaya ....
Waqtaon ne batlaya ki jatil se jatil rogon se chutkara wa aantarik saktiyon ko yog badhane ka karya karta hai .... waqtaon ne logon ko aahwan karte hue kaha ki aaye hum sab milkar Yog k madhyam se desh ko nasamukt , bimarimukt banakar desh ko aarthik awam naitik haas se bachaye .......Mahotsav shivir me kaafi sankhaya me log Yoga ka laabh uthaye....



"Run-For-Democracy" karyakaram ka aayojan sthaniye Daltonganj me kiya gaya...

Lok Sabha Chunao 2014 me adhik se adhik matdataon ko matdaan karne k parti jaagruk karne k liye Run-For-Democracy karyakaram ka aayojan kiya gaya ....
Es dauraan Upayukt Palamau sah Zila Nirwachan Padadhikaari Krupanand Jha ne loktantra ki safalta k liye Samaharnalay Parisar me upastith logon ko mat dene ki sapath dilayi wa tab Zile k kayi adhikaari sahit sthaniye log wa schooli students ne bhi es karyakaram me bhaag liya wa daudte hue Samaharnalay Parisar se nikalkar Zila School Pahuche ...






Lok Sabha chunao ko lekar EVM Machine ki jaankaari dete experts....

Sthaniye Nagar Bhawan me Lok Sabha Sansadiye Chunao ko lekar EVM Machine ka prasikshan diya gaya .....
Es dauraan chunao k pehle ki tayari se lekar prapatron ki jaanch wa sahi Voting ki jaankaari wistaar se di gayi .... Sath hi Sath chunao ko safalta purwak sampann karane k liye bhi kayi uchit prasikshan chunao karmiyon ko diya gaya ...



Saheed Diwas par Epta k sadasyon ne saheedon ko diya salami...

Epta k sadasyon ne teeno sapooton k sahadat diwas par Zila School k maidaan se Juloos ki shakl me Rally nikaalkar Bhagat Singh Chowk pahuche jahan Saheed Veer ki pratima par logon ne malyarpan kar unhe yaad kiya .... Es dauraan unhe yaad kar sabhi logon ki aankhein num ho gayi wa shraddha se jhuk gayi .... Mann-hi-Mann us Mata ko log salaam kar rahe the jisne aise Veer deshbhakt ko janm diya jo hanste hanste watan k liye sulli par chad gaye .....
mauke par kaafi sankhaya me Epta k sadasya upastith the .....





Saturday, March 22, 2014

RJD,Congress wa JMM k gathbandhan k umidwaar "Manoj Bhuiya" k namankan wa Lok Sabha chunao me apni majboot daavedaari pes karne ko lekar sthaniye ShivaJi Maidaan me party k karyakartaon dwara vishal jansabha aayojit ki gayi .....

RJD,Congress wa JMM k gathbandhan k umidwaar "Manoj Bhuiya" k namankan wa Lok Sabha chunao me apni majboot daavedaari pes karne ko lekar sthaniye ShivaJi Maidaan me party k karyakartaon dwara vishal jansabha aayojit ki gayi .....
Karyakaram me sthaniye widhayak sah Mantri "K.N Tripathy" Annapurna Devi sahit kayi Diggaj neta sammilit hue wa upastith logo ko sambodhit karte hue ekjut karne ka prayas kiya wahin Shri Bhuiyan purwa me Saansad rehne k dauraan kiye gaye karyon ka wiwran dete hue janta se es chunao me madad karne ki apeel ki , sath hi sath kaha ki yadi we saansad ban jate hain toh janta k wiswaas par khara utrenge ..... Es dauraan Bhuiyan Samaj k ziladyaksha Raju ram jo Manoj Bhuiyan se ruust the wa apne samaj se umidwaar khada karne ki ghosna ki thi unhone apne sekdo sathiyon k sath RJD ki sadasyata se Shri Bhuiyan ne apni party me unka swagat kiya , Karyakaram k dauraan kaafi sankhaya me gathbandhan party k karyakarta upastith the ....




Concoast Max Chad k Dealer Somnath Gupta ne Rajmistri sammelan ka aayojan kiya

Sthaniye Durgabaadi Mandir me Concoast Max Chad k Dealer Somnath Gupta ne Rajmistri sammelan ka aayojan kiya .... Es dauraan company se aaye Engineer wa Marketing Officer sahit anya logon ne apne company k chad ki gunwatta wa majbooti se Rajmistri ko awgat karaya wa chadd lagane k fayde par bhi charcha kiya .......Mauke par kafi sankhaya me sthaniye Rajmistri maujood the ...