Daltonganj Police Line Stadium me "Palamau Police Association" dwara vidai samaroh karyakaram ka aayojan kar Sarjant Major "T.K Jha" ko Bhawbhini Vidai di .... Vidai Samaroh me Police Adhikariyon , Karamchariyon k sath-sath kafi sankhaya me zile k ganmanya log saamil the .... Is dauraan zile k police captain, police upadhichak sahit kayi logon ne "Shri Jha" ko Sawl odhakar aur Buket dekar sammanit kiya .....
Mauke par waktaon ne Shri Jha k dwara kiye gaye kaamo ko kaafi sarahte hue kaha ki Shri Jha ne palamau wasiyon sahit Police adhikariyon k dilo me jo jagah banayi hai wah kabhi bhi nahi bhulaya ja sakta hai .... Inki kami Police vibhaag k sath-sath logon ko kaafi khalegi ....



No comments:
Post a Comment