"Akhil Bhartiye Bhuiyan Kalyan Samiti" k tatwadhaan me Mata sewri Jayanti awam Bhuiyan Pariwaar milan samaroh ka aayojan ShivaJi Maidaan me kiya gaya .... Karyakaram me sirkat karne Jharkhand sarkaar k purwa Bhumi Sudhar awam Rajaswa Mantri "Dulal Bhuiyan" Bataur mukhya atithi upastith the , jab ki wises atithi k roop me purwa Sansad "Manoj Bhuiyan" awam Jhamumo Neta " Prabhat Bhuiyan" Maujood the .... Karyakaram ki surawaat Mata Sewri k chitra par puja, archana awam Deep Prajwalit Kar kiya gaya .... Is dauraan Karyakaram ki adyakshta kar rahe Mukhiya "Rajeev Bhuiyan" ne karyakaram me upastith tamaam atithiyon ko Pagdi Pehnakar swagat kiya .... sath hi kaha ki yah maatra pagdi nahi balki samaj ka Izzat hai .... Iski laaz bachakar rakhana hai .... Karyakaram me sirkat karne wibhinn muhalle , tolle wa gaon se log Gaaze-Baaze k sath pahuch rahe the ....
Mauke par waqtaon ne samaj ko 1 sutr me piroye rakhne par ball diya .....

No comments:
Post a Comment